Kya ap bhi apne Mobile se free mai blogger ban na
chahte ho, kya ap bhi blogging field mai aakar lakho rupay kamana chahte
ho to ae post apke liye he hai.
Blog creat
karne se pahele ap confirm karlo ke, apko kis topic pe ap blog post
karne wale ho uske baad he aap blog bana sakte ho.
Blogging kar
ke sach mai log lakhon rupay kama rahe hai, bas apko apne blog ke
through kuch accha content logo se share karna hoga or Google Adsense se approval lena hoga fir
jayse apke, Adsense approved ho jayega Google apke blog pr adds dikhana
start karega or jaise apke blog pr adds show hogi or koi apke adds pr
click karega to uske apko payse milege.
Start a blogging with mobile 2020 in hindi
|
Blogspot pe blogger account kayse banaye ?
1 step: Apko apne Mobile ke kisi bhi browser mai
www.blogger.com search karna hai, uske baad Apke browser ke display mai niche diya jiva page open ho jayega.
2nd step: apke pass gmail
account hoga he aaj kal har kisi ke pass gmail account hota he hai apko
apne gmail account se sign in kar lena hai
3rd step: sign in karne ke baad aap blogger ke Liye verified ho jaoge, fir apke browser mai kuch aysa page load hoga.
Apke blog ke liye apko title pucha jayega konsa title apko rakhna hai, apke apne topics ke hisab se aap apna title rakh lena.
Uske baad next button pe click karna.
4th step: apko apne
blog ke liye website ke liye address pucha jayega, apko apne niches ke
hisab se address type karna hoga. Or save button pe click karke save
kar lena hai.
Or apka blogger ka account create ho jayega or,
Uske baad aap apne blogger pe blog post kar paoge
0 Comments